Thursday 6 September 2012

Ek shakhs paas rehkar samjha nahin mujhe,



Ek shakhs paas rehkar samjha nahin mujhe,
Is baat ka malal hai,shikwa nahin mujhe,

Main usko bewafai ka ilzaam kaise dun?
Usne to ibteda se hi chaaha nahin mujhe,


Pathar samajh kar paon se thokar laga diya,
Afsos teri aankh ne parkha nahin mujhe!

Kya umeeden baandh kar aaya tha saamne,
Usne to aankh bhar k dekha nahin mujhe!




·٠•●♥ Aasi Butt ♥●•٠·

No comments:

Post a Comment